Powered By Blogger

Sunday, 27 March 2016

Farewell Poem. Central RailwayJr. Collage(2015-16) Std- X and XII (sci,comm.)


                Farewell Poem.                  Central RailwayJr. Collage(2015-16)
         Std- X and XII (sci,comm.)


Jo bit gyi soo bat gyi

Jo bit gyi soo baat gyi,
Jiwan me ek sitara tha.
Mana wah bhot pyara tha,
Wah doob gya to doob gya.
Ambar ke aanan me dekho kitane iske taare toote,
Kitane iske pyare chhuttteee.
Jo toot gye fir kaha mile,
Par bolo toote taro par,
Kab ambar shok manata hai.
Jo beet gyi soo bat gyi.


Magar kaise bhulunga ZEBA ke un pyari baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.
PRATIK se toh mai aise judd gya hu,
Mano ki khood se hi mai bichhad gya hu.
Jab bat dosti ki aayegi,
Toh ANJALI and SHRISHTI ki yad satayegi.
ANJANA toh anjan thi,
Fir bhi ussee meri kya khub pehchan thi.
Kaise bhulunga RAHUL(Rao) teri CST wali wardaton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



ATUL,PARAS, ADITYA  sach me kya khoob hasate ho,
Nam tumhare aalag aalag, par whatsapp pe DESI BOYS kehlate ho.
VARSHA nd GEETA ye toh do dil ek jaan kehlati hai,
Kon hai VARSHA kon hai GEETA hamesha confuse kar jati hai.
CHUUUHHE…sry…WASHIM tu bhi story kya khoob banata hai,
Aur apna bhaiya RAMAKSHYA, tu bhi kuchh kam nai pakata hai.
Kaise bhulunga mai,teri pakau baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



(Bhukkhadd girl) KOMAL tujhe jab bhi bhookh satayegi,
Toh dekhana tujhe ZEBA ki dabbe ki yad aayegi.
SHIPRA nd SARVAREE achhi dost kehlati hai,
Kya bolu mai, ye har ek function me tang aadati hai.
SANCHIT yar, teri body dekh k mai hill jata hu,
Ab aisa mat bol ki bahar mil fir batata hoon.
Kaise bhulunga KARAN teri double meaning baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



ROMIL tu sabko bhot hasaya hai,
Isliye toh tu sweet boy ki degree paya hai.
AASMA tu sach me INDIAN hai ya bss INDIA ki nationality paii hai,
Kyuki ek din ek bchhe ne bola, bhaiya aapke class me ek CHINIESE ladki aayi hai.
SANDEEP nd VARUN tum seeti kya khoob bajate ho,
Kya chhota kya bada sabka mazak uudate hoo.
Lekin kaise bhulunga UPASANA teri mashumiyat baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



ANJALI(jha) jo har bar mujhe taali de jati hai,
Aanjana hi sahi, lekin bhaiya mujhe bulati hai.
LOKESH tu kya kya aur kitana khata hai,
Jo bachhon ko tu apne PUNCHOO se darata hai.
TANU teri toh nak pakaude jaisi lagti hai,
Sach kahu toh tu gusse me jyada jachati hai.
Kaise bhulunga VERSHALI nd PRABHA teri fijull ki baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



Ek din LYDIA ne kaha, na koi mujhpe aankh uthaye, chahe mai jau jaha,
Maine bola kya mazak karti hai, tu bina aankh uthaye dikhati hi kaha.
GRESHMA nd SHRUTI ke frienship ka kya kehna,
Aisa lagta hai ye dono hai ek dusare ki behna.
Aapan DILLEP SONI bhi dadhi kya khub banata hai,
Kabhi PA-JI, kabhi SHIVAJI, kabhi HABI-BULLAH ban jata hai.
Kaise bhulunga HARIOM teri unn simple baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.




DiLEEP (yadav) nd KISHAN toh aadat se bhai bhai hai,
Apne SHEKHAR aur VIKASH toh masti ki full dawai hai.
YASH tu toh DEVDAS hai, DEVDAS hi rahega,     lekin
REEVA ab tu class me comments kaise pass karega.
BHAVANA tu toh bhavanao se bhari hai,
Kya bat hai tu aaj kuchh jyada jach rhi hai.
Magar kaise bhulunga ROHIT KUSHWAHA k innocent jajbaton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



PRASHAD teri painting toh la-jawab hai,
DHIRAJ tere click kiye pics ka bhi na koi jawab hai.
NIDI tu jab aapne surr me gaati hai,
Sach kahu toh mujhe HIMESH RESHAMIYA ki  yad aati hai.
Aapana SACHIN  bhi chhati kya  khub fulata hai,
Mujhe lagta hai wo collage nahi, reselling karne aata hai.
Kaise bhulunga DIKSHA k mashumiyat khyalaton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



SURABHI jisko khane k siwa aur kuchh nahi dikhata hai,
Ek din bola usne bhaiya, chalo na canteen me laddoo bhi bikata hai.
ROHIT KOLEKAR suna hai tujhe hindi me sabkuchh aata hai,
Yrrr tujhe dekh ke mujhe mera bachapan yad aata hai.
APURVA tune ek bar bhi mujhse kaha hota,
Toh MERRY KOM me priyanka chopara ka role mai tujhe diya hota.
Kaise bhulunga mai teri punching hathon ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



Harr bar yellow house jit jata hai,
Iska pura credit TANVI ko hi jata hai.
Apani MONA toh bhot achhi insan hai,
Lekin puri ki puri aanshu ki dukan hai.
VANSHIKA suna hai commerce me ek bachhi hai,
Dil ki achhi hai,mann ki sachhi hai,
Serious mat hona ye sab masti hai.
Kaise bhulunga in masti bhari baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



SHAHIL,SHYAM nd HEMANT inka manana hai,
Ye dosti hum kabhi nahi chhodenge ,
Todenge dil magar sath nai chhodenge.
CHARRUUU….aarz kiya hai tere liye…………..
Tujhe gali control hoti apne aap se nai,
Tujhe gali control hoti apne aap se nai,
Aur sunna hai tu darti kisi k baap se bhi nai……..
Apne AMIT aur MANMEET kitane simple hai,
Usse bhi pyare pratibha k cute dimples hai.
Kaise bhulunga YOGITTA tere maths ke sawalaton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



SARVESH tune bhot chhuttiya mari hai,
Tujhe kya pata apne railway ki hawa kitani pyari hai.
HITESH tune ladkiyon ka puff bhot bigada hai,
Fir bhi HIPPO  tu sabka pyara hai.
SURAJ tujhe pyara kahu ya akal ka mara,
Tu toh pure sal bana rha bechara.
Lekin kaise bhulunga teri funny baton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



Iss duniya me aakash hai to jami bhi hai,sukha hai toh nami bhi hai,
Aur hamre sath SANDHYA hai toh ROSHANI bhi hai.
(selfie girl) ZEBA , yrr tu kitane selfies leti hai,
8GB ki kya aaukat 16GB tu minto me full kar deti hai.
Ab toh na hi DISHA  classo kehla payegi, ….aur
Na hi ab STELLA aankh band tapali khel payegi.
SEFALI tujhse jo takrayega ,
Wo chur-chur ho jayega.
Kaise bhulunga tere buland iradon ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



GAJENDRA,SUMIT,ALEN in teeno  k ek hi fundey hai,
Ye teeno simple aur nek bandehai.
HRITIKI  toh chocolate ki diwani hai,
Samajh nai aata ki ye aadat sirf iski hai ya puri khandani  hai.
TIKSHA tere jokes ka na koi jor hai,
SARATH tere fashion ka pure school me shor hai.
Kaise bhulunga ROHIT YADAV tere kurafaton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



BHARAT,SHREYAS nd AMAN  ab na hi ladies special local me mil payenge,
Chah k bhi hum SONALI,SHRSHTI(pal), aur NILAM ko na bhul payenge.
Apana DHANNO toh allrounder and bindass ladka hai,
Jo padhai chhod k ,sab kam ko dilo jan se karta hai.
Aur PRACHI….
Jyada hasto dant ghastoo,hya sathi jyasta hasu nako.
Kaise bhulunga tere ghase danton ko,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.



Jo bhul sakega in baton ko,wo pathar dil kahalayega,
Ye soch k rona aata hai………………. ki ab mujhe
 SHUKLA, SHUKU BHAIYA, ROHIT, CHACHA NEHARU, PANDIT JI, PROFESSOR ya fir PAGAL
 keh k kon bulayega.
Samajh na aata kaise sulajhu,in ulajhe sawalaton se,
Kaise bhulunga iss kafile ki suhani yadon ko.
Aakhiri me tahe dil se pure Railway family ko sashriyakal,salam aur pranam karta hu,
Apne tute-fute shabdon ke sath apne kavita ko viram karta hu.        


   
 BY – RJ SHUKLA