MAHAN GURUJI
Vidhya dete Dan guruji,
Har lete aagyan guruji,
Akshar-akshar Hume sikhate,
Shabd-shabd ka aarth batate,
Kabhi pyar se kabhi dant se,
Humko dete gyan guruji.
Jod,ghatana,guna batate,
Prashn ganit ka hal karwate,
Har galti ko thik karwate,
Har galti ko thik karwate,
Khich hamare kan guruji,
Dharti ka bhugol batate,
Eetihas ki katha sunate,
Kya,kab,kaise ho jata hai?
Samjhate vigyan guruji.
Khel khilate geet gawate,
Kabhi padhate kabhi khilate,
Achhe aur bure ki humko,
Karwate pehchan guruji,
Aapki mahima aap ka Gaurav,
Aapka chintan aapka gyan,
Aapke hi upadesh vachan,
Karte sabka kalyan guruji,
Aapki garima ka kya bakhan kare,
Aapke Gaurav ka kaise gungan kare,
Darta hu mai,na kahi koi bhul Kare,
Ye meri juban guruji.
Aapne hi tridosh bataye,
Sapt sadhuo se gyan karaye,
Aayurved k aashat aango she,
Aapne me kiya sagyan guruji,
Aap hai shiksha ke sagar,
Aap bante gyan barabar,
Phase ko jaise milta hai pani,
Aap wahi hai jindgani,
Aap wahi hai jindgani,
Mata-pita hai aapka duja nam guruji.
Aap na dekhe jat-pat,
Aap na karte pakchh-pat,
Aap karte sabko maan barabar,
Nirdhan ho ya dhanwan guruji.
Aap manjhi naw kinara,
Aap ho dubate ko sahara,
Aap ka sadaa ye kehana,
Shram lagan hai sachha gehana,
Hai mujhko swabhiman guruji,
Vidya dete Dan guruji..................
Aapke in mahan vicharo par,
Ho jau balidan guruji.
Hum to chahe aap swikar karo hamara,
Sashriyakal,pranam aur salam guruji.
Vidhya dete Dan guruji,
Har lete aagyan guruji.
Har lete aagyan.............
Har lete............................
No comments:
Post a Comment